Kismat...Jo likha thha wo ho gaya..wo kiya maine.
Maine hi kiya- ya khud ho gaya?Kya mere bas me thha..
aaj hazaar khayal aate hain- ki mai rok leti, badal deti apni kismat...
Shayad mere hi haathon se mere apne zameer ka khoon likha thha...
Haan- maine hi kiya, mujhse hi hua hai katl-
aur kisi ko kya dosh doon jab maine khud apni awaaz nahi suni
Mai chillati rahi, par maine khud hi apna gala ghot diya
chup kara diya sachchai ko
Jab mai hi sachchai ke liye nahi lad saki
to aur kisi ko kya dosh doon..
Jab maine hi buraai ka saath diya...
maine hi to galti ki
Mera to zameer thha - maar daala
yun hi khoon kar diya
aur usko maarkar mai jee sakti hoon kya...
har pal aatm-hatya
har pal ek maut
haan- mai to har pal ek maut jee rahi hoon
Kitne dinon se zindagi me dard ka ehsaas nahi thha
ab aisa dard hai ki aur kuchh nahi raha
na zindagi, na ehsaas
bas ek besahara, laachaar si zindagi
jo kisi bhi maut se kahin buri hai
jab khud apna vishwaas tod diya-
to kisi se kya gila
jab khud se sachchai nahi ki
to aur kisi se kya ummeed
haan- mere hi to haathon mera khoon hua hai...
No comments:
Post a Comment