Sunday, March 12, 2006

Zindagi...aur kuchh sawaal

Yahaan kisi ko mukammal jahaan nahi milta,
Kabhi zameen to kabhi aasmaan nahi milta

Yunhi kuchh umeedein, kuchh bachi-khuchi aas...
aise hi saanson ke tukdon par poori zindagi tiki hui hai
Kitni nazuk, kitni laachaar...

Yunhi lagta hai...ki ik khwahish hi har sawaal ka jawaab hai,
har bebasi ka ilaaj hai...
par kya khabar ki tamannaon me tamanna chhupi hai...
aur phir zindagi ek aur khwaab par tiki, ruki...

aise hi har sawaal ka jawaab milega...ek aur sawaal, ek aur pareshaani,
yunhi har zindagi me basi rahegi, ik nayi zindagaani
shayad yahi mera jawaab hai
ki zindagi hi khwaab hai........................

No comments: